6/15/2023 0 Comments Imtihaan serial castYaar jo pehley kabhi kisi ke bichadney sey na dara thaĪaj shakhs wo har roz hi kayi-kayi baar roney laga tha Khuda sey uski chahat ki rihaayi maangney sey bhi darta tha Or ab siwaaye uskey khayaal ke koyi raabtey main na tha Na jaaney kyun khuda ney milaya mujhey us sey saalon baad Main kamaayi huyi apni duniya ko bhi tabah karney laga tha Par jis roz kaha usney ham ek nahin ho saktey Junoon kuch baaki abhi talak mujh main bhi tha duniya kamaaney ka Or phir main phir sey dheerey dheerey bajaaye simatney ke bikharney laga tha Phir laga jaisey yahi hai wo jiskey liye mujhey khuda ne tanha rakha hai Jo karta tha La parwahi main namaazon mainĮk uski talab main raaton ko uth-uth kar khuda ke saamney roney laga tha Uthakar musalla kamyaabi ki dua uski raat raat bhar karney laga tha Wo karti thi tayyari imtihaan ki apney raat-raat bhar Main paagal har raat intezaar main uski call ke jagney laga tha Ittafaqan hi ho gayi thi ek raat baat us sey Or us ek shakhs ney hila kar rakh diya duniya ko meri Un logon ke aagey ghutney taik kar main apeel maafi ki karney laga tha Or yaad aa rahey thi phir sabhi dost wo jo ham par nisaar they Ummid thi ki mehkeyngey phir sey gulshan meri bhi zindagi mainĬhod diya phir aagey badhney sey pehley manzil ki raah ko Dariya dil main toofan sa uthney laga tha
0 Comments
Leave a Reply. |